Galat Huye

Spoken word about discourse

Sahil Siddiqui
1 min readAug 11, 2020

Lyrics

Kaun hain ye jo khud ki galti maante hain?
Humein toh galat huye ek arsaa beet gaya.

Hain chashmadeed moujood saare yahaan
Jo pur-shore kahaa humne
Wahi buland sach bann gaya

Kehne ko toh daleel-pasand hain hum
X 2

Par jo kaate hamaari baat
woh dushwaar ban gaya

Kaun hain ye jo khud ki galti maante hain?
Humein toh galat huye ek arsaa beet gaya

Aadhi soch par poori behas karna kya hi hai fateh
X 2

Bin ek zarre ilm ke bhi
humne hai kaiyon ko lalkaara

Jaante hain hum sach magar....

Teri taaleem ko uchhala

Aaj ka khel nahin hai ye x 2
Kaala jhoot nahin ifreet naya

Kaun hain ye jo khud ki galti maante hain?
Humein toh galat huye ek arsaa beet gaya

--

--

Sahil Siddiqui

Playing Catch, Catch Up and Catch Me If You Can with Life. Noting down victories and commenting on losses. Writer | Artist | Advertiser | Performer